HAYE HASAN ASKARI (a.s.) KAH RAHE HAIN ALI (a.s.)
JO ZAMANE KA HAI AB IMAM AKHIRI WO PDHAYE NAMAZE JANAZA TERI HUKME RAB HAI YE HI
GHAM SE KUL AMBIYA RO PADE ARSH PAR ZALIMO’N NE TUJHE JAB DIYA HAI ZAHAR HAI YE GHAM KI GHADI
EK MAHSHAR BAPA KARBALA ME HUA ZULM JAB TUJH PE YE SAAMRA ME HUA YE ZAMEE’N HIL GAYI
TERA MATAM MANAYEGA HAR HAAL ME MEHDI-E-DEE’N KO BAS PANCHWE SAAL ME HAI YATEEMI MILI
DEKH KAR LAASH TERI HASAN ASKARI ROOH TADPI HAI MERI HASAN ASKARI AAH DIL NE BHARI
AAJ RANJOOR HAIN TERE BABA NAQI DARD SE CHOOR HAIN TERE BABA NAQI KAHTE HAIN WO YE HI
QAIDKHANO ME GUZRI TERI ZINDAGI UMR THI BAS TAQI SE HI ZYADA TERI JAB SHAHADAT HUI
SABKE DIL KO HAI TERI SHAHADAT KA GHAM AAJ GYARAH IMAMO KI AANKHE HAIN NAM MAHWE GHAM HAI SABHI
YE DUA HAI SHUJA AUR YAQOOB KI UMR BHAR HAM KARE YAA HASAN ASKARI (A.S.) NAUKARI APKI
|