Na Pooch Mera Hussain (as) Kya Hai ?
Jahan-e-Azme Wafa Ka Paikar Khrad ka Markaz, Junoon Ka Mahwar Jamal-e-Zehra (as), Jamal-e-Haider (as) Zameer-e-Inssan, Naseer-e-Daawar Zameen ka Dil, Asmaan Ka Yaavar Dayar-e-Sabro Reza ka Dilbar Kamal-e-Eessar ka Payambar Shaoor-e-Aman –o-Sukoon ka Paykar Jabeen-e-Insaaniyat Ka Jhoomar Arab Ka Sehra, Ajam Ka Zewar
HUSSAIN (as) TASWEER-E-AMBIYA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Ahl-e-Wafa Ki Bastee Hussain (as) Aayeen-e-Haq Parsatee Hussain (as) Sidq-o-Safa Ka Saathee Hussain (as) Chashme Ana Kee Mastee Hussain (as) Pesh-Az- Adam Tasawoor Hussain (as) Baad Az Qayam-e-Hastee Hussain (as) ne zindagee bikheree
Faza Se warna Qaza Barastee Urooj-e-Haft, Aasmaan-e- Azmat Hussain (as) ke Naqsh-e-Pa ki Masti Hussain (as) ko khuld me na Dhoondo Hussain (as) Mehnga, Hai Khuld Sastee Hussain (as) Maqsoom-e-Deen–o-Imaan
HUSSAIN (as) MAFHOOM-E- "HAL ATA" HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as)Dil hai, Hussain (as) Jaan Hai Hussain (as)Quraan kee Zaban Hai Hussain (as) Irfaan Kee Saltanat Hai Hussain (as) Sarkaar –E-Do Jahan Hai Hussain (as) Sajdon Kee Sar Zameen Hai Hussain (as) Zahnon ka Asmaan Hai Hussain (as) Zakhmo Bharee Jabeen Hai Hussain (as) Azmat Ka Astaan Hai
Utha Raha Hai, Jo Lash-E-Akbar (as) Hussain (as) Boodha Nahin Jawan Hai Woh Sar-Kharoo-e- Nasheb-e-Sehra Woh Sar Buland-e-Sar-Sana Hai Woh Badr-e-Afllak-e-Admiyat
WOH SDAR-E-ARBAB-e KARBALA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Eeman Ki Justajoo Hai Hussain (as) Yazdan kee Abroo Hai Hussain (as) Tanha Tha Karbala Me Hussain (as) Ka Zikr Chaar Soo Hai Furaat Kee Nabz Ruk Gayee Hai Hussain (as) Masroof-e-Gufatagoo Hai Jahan Gulabon Se Kat gaya Hai Hussain (as) Shayad Lahoo Lahoo Hai Hayat Ke Irtaqa Se Pucho Hussain (as) Payghambar-e-Namoon Hai Hussain (as) Ka Hosla Na Poocho Hussain (as) Lut Kar bhee Surkharoo Hai Woh Dekho Faujo Ke Darmayan Bhee
HUSSAIN (AS) TANHA DATA HUA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Nikhra Hua Qalandar Hussain (as) Biphra Hua Samandar Hussain (as) Baste Dilon se Aage Hussain (as) Ujde dilon Ke Andar Hussain (as) Sultan-e-Deen-O-Imman Hussain (as) Afkaar ka Sikandar Hussain (as) Se Aadmee ka Rutba Hussain (as) Hai Aadmi Ka "Man-Dar" Khuda Ke Bakhshish Hee Khema Zan Hai Hussain (as) Kee Saltanat ke Andar Hussain (as) Daata, Hussain (as) Raja Hussain (as) Bhagwan, Hussain (as) Sundar Hussain (as) Akaash ka Rishi Hai
HUSSAIN (as) DHARTEE KEE AATMA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Maidan Ka Sipahee Hussain (as) Dash-E-Ana ka Raahi Hussain (as) Farq-e-Ajal ka Bal Hai Hussain (as) Andaaz-e-Kajkalahi Hussain (as) Ki Garde-e-Pa Zamana Hussain (as) Ki Thokaraon Me Shahi Hussain (as) Meraaj –e- Fikr-e-Aalam Hussain (as) Ramz-e-Jahan Panahi Zemeer-e-Insaaf Li Lughad Me Hussain (as) Meyar-e-Be-Gunahee Banam-e-Jabr-o-Azoor-e-Shahee
HUSSAIN (as) GHAYRAT KA FAISALA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Fikr-o-Ana Ka Ghazee Hussain (as) JangGaah Me Namazee Hussain (as) Husn-e-Nayaz Mandee Hussain (as) Aijaz-e-Be-Nayazee Hussain (as) Aaghaz-e-jaan Nesaree Hussain (as) Anjaam-e-Jaan Gudazee Hussain (as) Tauqeer-e-Kar-Bandee Hussain (as) Taaber-e-Kar-Saazee Hussain (as) Mojiz Numaye Dauran Hussain (as) Haq Ki Fasoon Tarazi Hussain (as) Haara to youn ke Jaise Hussain (as) Ne Jeet Lee Ho Baazi Hussain (as) Saare Jahan Ka Waris
HUSSAIN (as) KEHNE KO BE NAWA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Payghambar-e-Baharaan Hussain (as) Taskeen-e-Dilfigaraan Hussain (as) Meer-e-Hejaz-e-Hastee Hussain (as) Saalar-e-Shehsawaran Ke Deeda-o-Dil ke Dash-o-Dar Me Hussain (as) Tamseel-e-Abr-o-Baraan Hussain (as) Tadbeer-e-Jaan faroshaan Hussain (as) Taqdeer-e-Sogwaraan Kabhee to Chashm-e-Hunar se Dekho Hussain (as) Rashk-e-Rukhe Nigaran Hussain (as) Husn-e- Mahe Muharram Hussain (as) Hee Eid-e-Rozdaraan Hussain (as) Sar-Maya Ambiya Kaz
HUSSAIN (as) AIJAZ-E-AULIYA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Ek Dil Nasheen Kahani Hussain (as) Dastoor-e-Haq ka Baani Hussain (as) Abbas (as) Ka Sarapa Hussain (as) Akbar (as) Ki Naujawani Hussain (as) Kirdaar-e-Ahl-Imman Hussain (as) Meyaar-e- Zindagani Hussain (as) Qasim (as) ki Kam-Numai Hussain (as) Asghar (as) ki Bezubani Hussain (as) Sajjad (as) Ki Khamoshee Hussain (as) Baqar Ki Nauha khani Hussain (as) Dajla ka Khush Saahil Hussain (as) Sehra ki Bekarani Hussain (as) Zainab (as) kee Kasm-o-pursee
HUSSAIN (as) KULSSOM (as) KI REDA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
|