Reh gayi Ali ki behti ghum uthanay kay liye Hussain bhi chalay gaye hain saar katanay kay liye (x2) 1) Hussain ki nigah bahwafa ko dhondnay laagi (x2) Qabar chay mahenay walay ki bananay kay liye 2) Jala deya sabhi charagh dasht main Hussain nay (x2) Aik baita ray gaya hay shaam janay kay liye 3) Qasim hazeen ki laash tukray tukray ho gayi (x2) Haar taraf say dasht-e-Karbala sajanay kay liye 4) Lagaein gay wo aagh aaj khaima-e-Hussain main (x2) Aeya tay jo Fatima ka ghaar jalanay kay liye 5) Batool zadiyon kay saar say chadarain bhi cheenli (x2) Itnay saray zulm aur isi gharanay kay liye
|